Pan Card Status Online Kaise Check Kaise Kre- Hindi Jaankari
Hi Friends, Aaj ki ess post main aapko Pan Card Status check krne ke baare me btaunga. Agr aap pan card ke liye apply kar chuke hain to aapke paas bahut se swal honge jese:- Pan card kab tak bnega ya nhi bnega, koi form me ya id me kmi to nhi rah gyi aadi-aadi. Aapke sab swalo ke jwab aapko ess post me mil jayenge.Yahan mai aapko 2 method bta raha hun.pahle puri post ko read kre aur uske baad hi aap apna status check kren.
Pan Card Kya Hai Full Details
PAN ka matlab hota hai-Permanent Account Number. Ess Card par 10 digit ka alphanumeric number hota hai jisko Income Tax Department jari krta hai. Ye debit card ya ATM card ki tarah dikhai deta hai. Isme hmari sabhi details hoti hai jese name, date of birth, father name, photo etc. Aadhar card ki tarah India Govt. ne Pan card ko bhi jruri bna diya hai. Ek person sirf ek hi pan card bnwa skta hai.
Aapne dekha hoga ki pan card par 10 digit ka alphanumeric number hota hai jo sbke liye alg alg hota hai. Kya aap jaante ho enn 10 digit ka kya matlab hota hai. Sabhi alphanumeric number me uss person ki details hoti hai jiska pan card hota hai. Staring me 5 English ke alphabets hote hain uske baad 4 digit number hote hain aur last me ek character hota hai.
Starting ke 3 alphabets A se Z ke bich ke koi bhi ho skte hai . Isko tax department jari krta hai. 4th character uss person ke baare me btata hai jiska pan card hai. Pan card kisi person ka hai ya kisi company,organization etc. ka hai iske baare me hota hai.
A-Association of person
B-Body of individuals
C- Company
F-Firm
G-Government
H-Hindu Undivided Femily
L-Local Authority
J-artificial juridical person
T-Trust
5th character person ke surname se liya jata hai jese mera naam Sant Lal hai to mere pan card ka 5th character ‘L’ hoga.Agar pan card kisi company ya rganization ka hai to 5th position par company ke naam ka 1st character hoga.
Next 4 digit 0001 se 9999 tak kuch bhi ho skte hai. pan card ka last digit fix nhi hota. ye baki ke 9 character ko mix krke farmule se bnaya jata hai.
Uses Of Pan Card:-
- Online earning krne ke liye.
- Bank me 50,000 se jayada credit ya debit ke liye. SBI ne to ab isko apne har account ke liye jruri bhi kar diya hai.
- Apna tax bhrne ke liye.
- Goverment employee ke liye
Check Pan Card Status By Acknowledgement Number
Yahan main Status check krne ke 2 method bta raha hun. Agar aapke paas acknowledgement number hai to 1st method use kare aur yadi coupon number hai to 2nd method use kare.
1. Sabse Pahle NSDL ki website par jaaye.
2. Application type me ‘PAN-New/Change request select kare.
3. Aap status kese check krna chahte hai wo select kare.
4. Agar aapke paas Acknowledgement number hai to aap number enter kre. Nahi to aap name par tik mark krke apna naam enter kre aur niche date of birth enter krke submit kre.
5. Submit krte hi aapke samne pan card ki status show hogi. Apka pan card under process hai ya send kar diya gya hai detail aa jayegi.
Top 100+ Free High PR Web Directory Submission Sites List 2017
facebook Data Leak क्या है और फेसबुक आपके फोन से क्या-क्या चोरी कर रहा है
WordPress Par Cloudflare Free SSL/HTTPS Kaise Setup Kare
Adsense Custom Channel Kya Hota Hai Aur Kaise Bnaate Hai
Whats App Delete Massage Ko Kaise Restore Kre Hindi help
Check Pan Card Status By Coupon Number
1. Aap UTIITSL ki official site par jaye.
2. Apna coupan number jese U-123456 enter kre.
3. Code box me dikhaye gye code enter krke aur submit kre.
NOTE :- Ab Pan status open ho jayegi. Yahan aap dekh skte hai ki aapki application approved ho gyi hai ya nhi. Agr aapke document me koi kmi hai ya application reject kar di gyi hai to yahan se apko pta chal jayega.
Facebook Page Apne Naam Se Kaise Bnaye Hindi Me Jaankari
Facebook Primary Email Aur Number Ko Kaise Change Kre
Youtube Video Download Kre Bina Kisi Software ke Free Me
Aadhar Card Online Update Aur Correction Kaise Kre Hindi Me Jaankari
Pan card ki details check krne ke liye aap hmare video ko bhi dekh skte ho. Yadi aapko video pansad aaye to please video ko like kre aur red colour ke subscribe button par click krke subscribe jrur kre.Subscribe krne se aapko hmare next video ki suchna muft me di jayegi.
Dosto, Pan Card Status check krne ke baare me ye jaankari apko kaisi lagi comment me jrur btaye. Niche share button par click krke aap apne dosto ke sath ess post ko share jrur kare.
Nice Article, Pan ki janakri achi hai. Pan Coupon number kaha hota hai?
mera pan card kho gaya hai usko online kaise niklbaye
bhai reply to do
agr aapne pan card bnwate time email address diya hoga to ek pdf file aapke email pr aa jati hai aap usko print krwale.aagr aapne email nhi de rakha hai to aap download nhi kar skte
Mere pan card me surname and date of birth kese changes kiya jahe
apne document income tex demapartment ke office me bhejo.agr aapne sahi nhi krwaya to aage problems ho jayegi kyoki aadhar card link nhi ho payega.
Sir kya bina e-mail diye hue kya hum apna pan card download kar sakte hai.
nhi kar skte.aap sirf status check kr skte ho.
Sir pan card aply karne ke bad receiving kaise nikale kyoki customer mangta h
Sir sirf pancard se Hawaii yatra kar sakte Hai
Or ye check kaise hoga
Ye toh 15 digit k number mang raha h
Kaha hota Hai ye
aapne jis agent se apply krwaya hai wo aapko daiga. Agr aapne khud online apply kiya hai to apke email par mail hogi ,usko check kre
Hawai yatra ka to mujhe pata nhi bro.Jab aapne apply kiya hoga to apko tokan number ya application number diya gya hai usme dekhe.
MAI UTIITSL COMPANY ME PAN CARD APPLAY KIYE HAI AVI 15 DIN HUA HAI
MAI STATUS CHEK KIYE TO LIKHTA HAI
STATUS AAWEDAN AASPHAL HAI DASTAWEJO KO APLOD KARE (SKAIN KIYE GAYE IMAGES)
aapko apne document upload krne honge.agr aapke aadhar card me sb date of birth sahi hai to hi apply kre.Wrna pahle aadhar card update jrur kre.Dusra aap sahi se scan documents hi upload kre. Documents ki photo upload na kre.
Sir mera pen card kisi dusre state ke address se banaya hua hai kya me ise apne state me use kar sakta hu
All India ke liye ek hi pan card hota hai
sir mene uti se aur nsdl se apne name correction ke liye apply kar diya ab income tax se bat ki to vaha par kahte he. koi bhi 1cancel karva do process ho jayega mai uti se cancel karvana chahta hu uti se coupon no cancel kese hoga bata sakte ho
Aap cancal nhi kar skte,jahan tak main janta hu. process complete ho jayegi
sir pan card apply kya hua 20 din ho gya aur chak karte hai to bata ta hai..application is verified and is under processing ……….ye kab tak bana ja ga aap baa sakte hai
Bro, isme thoda time to lgega. Pahle 20 dino me ho jata tha. but ab isme 40-50 din lg jaate hain
JANKARI BAHUT HI ACHCHHA LAGA THANKS
sir 7 din pahle aply kiya abhi tak acknolege no. nahi mila status bhi nahi bta rha hai
ek sucssege fuul pan card ka massege ka
aaya tha
Coupon number aaya hoga bhai.Jis din aap apply krte ho usi din aapko aknowledge number aa jata hai
sir mai pan apply 28feb ko kiya tha or status check krne me bad application revived and under verification bta RHA h KB tak pan no aayega please btaye jaruri h ……
Bad application ka mtlb nhi smjh pa raha hun.Please puri detail me btaye ye mujhe puri detail email kre taki mai aapko sahi jaankari bta skun.
application status check krne Ke bad likh RHA h application received and under verification …
Bahut hi badiya post really help full post
sir mai pane card banwaya tha but 1 mahine se jayda ho gaye abhi tak nhi pahuncha hai
Aap check kro.Ho skta hai aapke ducuments me koi problems ho.