Sitemap Kya Hai Aur Blog Ke Liye Sitemap Kaise Bnaaye
Apne blog ya site ke liye sitemap bnana bahut jruri hota hai. Aaj mai apko btaunga ki ye kya hota hai or sitemap kaise bnaate hai.
Sitemap Kya Hota Hai Aur Ye Kyon Jruri Hai
Ye ek xml file hoti hai jisme hamari website ke sabhi URL hote hai. Jab hum website banate hai to hum jo post ya page create karte hai uska ek url hota hai. Eske alawa bhi website par har chij ka ek url hota hai jaise aapne koi image upload ki kisi page par to us image ka bhi ek url ban jaata hai. Sirf itna hi nahi har categories, Author, User, Tags sabhi ka alalg alag url ban jaata hai. Ye saare url ek file me aa jate hai jise hum sitemap kahte hai.
Isko jab hum Google Search Console par submit karte hai tab google ko hamare dwara banai gai website ke saare URL is file me mil jaate hai or vo aasani se hamari website ko crawl kar leta hai. Sirf google hi nahi kisi bhi search engine par hum isko upload karte hai to us search engine ko hamari website crawl karne me aasani hoti hai or jaldi hee hamari website search engine me dikhai dene lag jaati hai.
Apne Blog Ke Liye Sitemap Kaise Bnaaye
Sbse pahle aap yahan site pr jaye or kuch simple steps follow kre
1.Apne blog ya website ka url likhe jese www.yoursite.com.
2.Always pr select kre.
3.Use server’sresponse pr select kre.
4.Automatically calculated priority.
5.Start pr click kre. Ab apke blog ka sitemap kuch hi seconds me bn jayega.
Ab isko google search ya bing search me submit kr skte ho. Google webmaster ki site par jaker apko submit sitemap par click krna hai. Uske baad apko apne blog ke url ke samne “sitemap.xml” enter krke submit kr dena hai. Agle 24 se 48 hours me apke saare URL index ho jaate hai. Esse search engine me add krne se apke sabhi url index ho jayege.
Apne Blog Ko Google Search Me Kaise Add kre
Agr aapko koi swal ho to aap comment jrur kre. Aaj ki ye post apko achi lgi ho to share jrur kre.