WordPress Blog Par SEO Friendly Post Kaise Likhe Hindi Help

WordPress par Seo Friendly Post kaise likhe aaj hum ess par baat krenge. Search engines ke robots jab aapki post ko crawl karte hain to aapki post ko analyze karte hain. Uske according aapki post search results me show hoti hai.worpress par seo friendly post likhna bahut hi aasaan hai.High rank hone ke liye apki post Google aur Bing ke algorithm ke according honi chahiye. Agar aapki post algorithm ke according nahi hai to apko koi fayda nhi hoga aur aapka sara hardwork bekaar ho jata hai.

Google and Bing par koi human nahi hai jo aapki site par visit karke, post ko dekhta hai aur index karta hai. Jis se apki post search engine me rank hoti hai. Human ki jagah yahan par custom robots set kiye jaate hai jo google aur bing ke algorithm ke anusaar kaam krte hai.

Search engine me wo post hi rank krti hai jo SEO rules ko follow krke likhi gyi ho. Jyadatar new blogger esko ignore krte hai aur ek achha article hone ke baad bhi unko rank nhi milti.

WordPress par Seo Friendly post likhna bahut hi aasaan hai kyoki yahan par bahut si plugin hoti hai jinki aap help le skte ho. Agr post likhte time aap koi step miss krte ho to apka article weak ho jata hai. Apne article ko strong bnaane ke liye apko kuch steps follow krne honge jo ess parkaar hai.

Top 100+ High Page Rank Social Bookmarking Sites List 2017

WordPress Par Cloudflare Free SSL/HTTPS Kaise Setup Kare

WordPress Par SEO Friendly post kaise likhe

Post Title 66 Character ka Rakhe

Apke post ka title jitna jyada acha hoga utna hi jyada traffic apko milega. Bahut se blogger post title par jyada dhyaan nhi daite. Shayad unko ye pta nhi hota ki 80% traffic to title se hi aata hai.

Post ka title hmesha 66 character se jyada nhi hona chahiye. Agr aapka tilte 66 character se jyada hai to search result me apka title pura show nhi hoga. Adhura title show hone par reader usko read nhi kar paate jiske karn uss par koi visit nhi krega.

Jab aap kuch search krte ho to sabse pahle aapki nazar title par jaati hai.Jiska title bdiya hoga aap ussi ki site par visit kroge. Essliye apni post ke liye best title choose kre.

Post Aur Title me Keywords Use kare

Search engine ke robots jab apki post ko analyze krte hai to wo pahle post title ko check krte hai. Robots apke title me keywords ko find krte hai. Agr aapne title me keywords ka use nhi kiya hai to aapki post search result me kabhi show nhi hogi.

Post title me apni post se related 1-2 keywords jrur use kre. Robots keywords ko dhyan me rakhkar hi apki post ko index krte hai.

Title ke sath-sath apni post me bhi keywords ka use kre. Post ke first peragraph aur last peragraph me apka keywords jrur hona chahiye. Ess se google robots ko pta chal jata hai ki aapki post kis topic par hai.

Keywords ka sahi estemal kre. Jahan jrurat ho wahin par hi use kre. Bina jrurat jyada keywords use krne se apki post ko spam mana jayega.

Headings Tag Ka Use

WordPress aur Blogger 2no par ye suvidha hoti hai. Heading tag use krne se apki post bhi sunder dikhai daiti hai aur reader ko bhi content read krne me aasaani hoti hai. Ess se reader ko ye pta chlta rahta hai ki post ke kis peragraph me kya hai.

Jab aap koi long post likhte ho to visiter kabhi bhi puri post read nhi krte. heading user ke liye ek break ka kaam krte hai jis se visiter ko thoda aaram milta hai aur sath-sath usko ye bhi yaad rahta hai ki usne kahan tak read kar liya hai.

Meta Description Ka use

Search reasult me aapki post kabhi bhi putri show nhi hoti. Vahan par aapki post ka short description show hota hai jisko meta description kahte hai. Essliye wordpress par jab bhi aap koi post kro to apni post ka ek short description jrur add kre. Isme 140-160 character ka use kre jo SEO ke liye best hota hai.
Wordpress par Yoast SEo aur All in One Seo me ye option available hota hai. Blogger par apko left side me search description par click krke add krna hota hai.

Add Image in Post

Jab bhi aap koi article likho to apne article ke anusaar image ka use jrur kre. Ek image kam se kam 200 words ka kaam krti hai. Agr aap apni post me image use krte ho to reader ko aapki baat smjhne me help milti hai.

Image visiter ko aakarshit krne me bhi helpfull hoti hai. Jis content me image hoti hai search engine aese content ko bina image waale content se jyada value daita hai.

Blogger Blog Par Meta Tag Ko Seo Ke Liye Kaise Add Karte Kre

Domain Authority(DA) Kya Hai Aur SEO Ke Liye DA Improve Kaise Kre

Backlinks Kya Hai Aur Seo Ke Liye Quality backlinks Kaise Bnaye

Rename Image and Add Alt Tag

Koi bhi image upload krne se pahle ek baar apni image ka naam jrur change kre. Apni image ko post ke anusaar rename kre. Agr aapki post me use ki gyi image ka naam-125.jpg ya secreenshot.jpg hai to apki image kabhi bhi search result me show nhi hogi.
Image ko upload krte time image me ‘ALT’ text jrur add kre. Seo ke lihaz se bahut hi important hota hai. Alt tag me aap apna main keyword add kre jis se aapki image bhi search engine me index hone me aasaani hoti hai.

Categories and Tags

Apni post me kam se kam ek category jrur add kre. Agr aap aesa nhi kroge to apki post uncategory me show hogi jo seo ki nazar se sahi nahi hai. Post krte time apni post ke liye tag jrur add kre. Tag me apni post se related words ko hi add kre.
Agr aapki post ‘food’ par ho aur usme ‘rice’ ke baare me btaya gya ho to category me ‘food’ aur tag me ‘rice’ ka use kre.

Custom Permalink

Jab aap koi post likhte ho to post ka title enter krte hi automatically apki post ka url bn jata hai jisko permalink bolte hai. Post ka title hi default url bn jaye to ye seo ke liye acha nhi hota. Aap isko edit krke isme apna main keyword add kre.
Permalink ko edit krte time apne url ko thoda short rakhne ki koshish kre. Isme kabhi bhi ‘stop words’ jese- your,this,and ka use na kre. Agr aap apni kisi old post ka permalink change krna chaho to old post ke url ko new url par redirect jrur kre.Ess tarah aap custom permalink ka use krke seo friendly post likh skte ho.

Cloudflare CDN Kya Hota Hai Aur Blog Par Free Setup Kaise Kre

Blogger Blog Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise lgaaye

Black Hat Seo Aapke Blog Ko Kaise Barbaad Kar Skta Hai

WordPress Par seo friendly post kaise likhte hai aap smjh gye honge. Yadi aapko kuch puchhna ho to aap comment jrur kre. Apko meri ye post kaisi lgi btaye. Share par click krke meri ess post ko share jrur kre.

4 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *