Kya Google app use krna apko nuksaan me daal skta hai

kya google app safe hai android ke liye

Google app har android user ke pass hota hai. Internet pr sbse jyada trefic google se hi aata hai. Aajkal har koi chhoti se chhoti chiz ko bhi google pr search krta hai. Har 100 me se 80 logo ke pass Gmail account hota hai. Android user ke liye to ye  bahut hi jruri bhi hai. Pr kya aap jante hai ki google kitna safe hai. Aaj apko mai btata hu ki Google hmari hr chiz ko chori chori kese save krta hai.

Agr apke pass Gmail account hai or aap Android bhi use krte hai to ye apke bahut kaam ki post hai. Agr aap google pr voice seach krte hai to aap kabhi bhi apni aawaz ko sun skte ho. Jb se aap google use kr rahe ho tb se leker aajtak ka  apka sara data google ke pass save hai.
Yahi nhi Google apki hr chhoti se chhoti activity ko bhi save krta hai. Aap kahan pr hai or kahan ja rahe h ye jaankari bhi google ko hoty hai. Ess se bhi jyada jruri bat ye h ki aap kis speed se ja rahe hai ye bhi google ko pta hota hota h. Kis jagah pr aap kitni der rukte hai ye record bhi google ke pass rahta h.
Aajtak apne jo bhi google pr seach kiya hai or kis kis site pr apne kya kya dekha  hai. Kis site pr apne kitna time lgaya hai ye sb baate bhi google not krta hai. Agr apka mobile,laptop ya apka computer kisi ko 2 minute bhi de diya jaye ya aap apne mobile ya pc se dur ho to koi bhi check kr skta. Aapne aajtak online kya kya search kiya or kya kya service use ki hai. Kyo lg gya na jor ka jhtka dhire se pr ye sach hai.
Ab sbse important bat aap dhyan se read kre. Agr aap Android mobile use kr rahe ho or  usme Google app hai to aap saavdhani se use kre. Aap mobile pr internet chlaa rahe hai yani agr apke mobile me data on hai to apko kuch extra saavdhan rahne ki jrurat hai.  Agr aap kisi dost, ristedar ya kisi femily member se baat kr rahe ho. Apke mobile ka data on h to google apki har baat ko record kr raha hota hai. Essliye kisi se jruri baate krte time apne mobile ka data off krde. Aap apne android mobile se Google app delete ya disable bhi kr skte ho.

Aap soch rahe honge ki kis faltu ki post ke chhakkr me aa gye to mai apko btata hu ki ye 100% sach hai. Agr aap chaho to aap yahan se check bhi kr skte ho. Google pr jake aap control bhi kr skte ho or aap apni past history ko delete bhi kr skte ho.
Apko ye jaankari kesi lgi comment jrur kre. Agr apko koi problem aa rahi ho to comment box me comment kre .Mai apki problem solve krne ki koshish krunga.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *