Apne Blog Ko Google Search Console Me Kaise Add kre

Google Search Console kese kaam krta hai. Google search console ko pahle Google Webmaster tool se jana jata tha. Ye ek google ki free service hai jiski help se aap apne blog ko google search me show krwate ho. Yeh apke blog ke sbi url ko index krta. Agr apke blog ke url me koi error aata hai to uska pta apko yahan se chkta h or aap isko fix me kr skte hai.

google search console me blog ko submit kaise kre

Blog ko Google Search Console me submit krna kyo jruri hai?

Aap apne blog pr visiter ko laane ke liye facebook, twitter aadi pr share krte ho pr aap kitna traffic laoge. Asli traffic wo hota h jab koi apke blog pr search engine se aaye. Agr aap chahte ho ki visiter apke blog pr apne aap aaye to apko apna blog google,bing or yahoo search me submit krna hoga. Aaj mai apko btata hu ki google search me apne blog ko kese add kre.Bing or yahoo search ke baare me next post me baat krte hai.

Blogging Addict Kya Hai Aur Blogging Addiction Se Khud Ko Kaise Dur Rakhen

Blogger Blog Par 404 Page Not Found Ko Redirect Kaise Kre

Blogger Blog Par Post Seo Optamize kaise kre Hindi Jaankari

Blogger Blog Ka Backup Data Download Kaise Kre Hindi Me Help

Blog Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kren

Sbse pahle aap google search console pr jaye or apne gmail account se log in kre. Log in krne ke baad add property pr click krke apne blog ka url daale or add kr de.

Uske baad apko ye verify krna hota h ki aap ess blog ke owner ho. Verify krne ke liye aap kisi bhi method ko use kr skte ho pr mai apko meta html tag code suggest krunga. Aap diye gye html meta tag ko copy krle. Aap yahan pr example pr ok krke example bhi  dekh skte ho ki code paste kahan or kese krna hai.

how to submit blog in google search

Code copy krne ke baad ek new window me blogger dashboard me jake template pr ok krke edit html me jaye. Apne keyboard se ctrl+f dabakr <head ko find kre.Ab apne jo code copy kiya tha wo <head ke niche paste krde or template save krde. Ab aap wapis search console ke page pr jakar verify button pr ok krde. Aapka blog Googke Search Console me add ho gya. Apke blog ko search engine me show hone me 24 se 48 hours lag skte hai.

Google search console me blog submit krne ke baare me aapko puri jaankari mil gyi hogi.Search console aapke blog ko index krke aapko isme hone wale error ke baare me bhi btata hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *