99rs GoDaddy Domain Register Kaise Kre Full Hindi Details

Aaj mai apko 99rs  Godaddy Domain Register kaise krte hai ess baare me btaunga. Domain name provide krne wali sites me competiton ke karn har domain provider companies apne plan samay samay pr change krte rahte hai. Sabse pahle to  ye jaan lena jruri hota hai ki domain kya hota hai, isko kyo lena chahiye or iske kya kya fayde hote hai. Ess post ko pura read kre taki apko detail se wo sb pta chle jo mai apko btana chahta hun.

99rs Godaddy Domain laine ke bahut se fayde hai.

Domain name Kya Hota Hai Aur Domain register Krna Kyo Jruri Hota Hai ?

Domain name ek pahchan hoti h jis pr sirf hmara adhikar hota hai, jab tak hum chahe. Jab hum apni website ya blog ke liye domain purchage krte hai to wo puri tarah se hmara ho jata hai. Hum jahan chahe usko use kr skte hai. In my case mere blog ka naam pahle hindistrock.blogspot.com tha. Esme blogspot.com  naam ka sub domain juda tha. Esko ko mai sirf blogger.com pr hi use kr skta tha.
Agr mai blogger ki service na lekar kisi or platform pr apna blog bnane ki sochu to mai ess naam ko sath nhi le ja skta tha. Uske baad mene GoDaddy se domain khrid liya or ab ye hindistrock.com ho gya hai. Ess naam ko mai kahi bhi use kr skta hu. Dusra ess se apka blog profasional ho jata hai.

99rs Godaddy Domain Register Krne Ke Kya-Kya Fayde Hain ?

-Agr aapka adsense baar bar diapproved ho raha hai to domain name lekar apply kre. Ess se approved ho jata hai.
-Blog pr traffic badh jata hai.Ess se blog pr visiter jyada aana pansad krte hai.
-Apke blog ka naam logo ko yaad rakhne me aasani hogi.
-Logo ko ye nhi lgega ki aap free me blogger use kr rahe hai. Apka ek status bn jayega.
-Apke blog ki income bhi badh jati hai.
Iske alawa bhi or bahut se fayde hote hai.Essliye apko domain name le lena chahiye. 99rs me apko 1 saal ke liye domain mile to bina time khrab kiye le lena chahiye.

99rs Godaddy Domain Register Kaise Kre?

Agr aap GoDaddy se 99rs domain name laina chahte ho to kuch simple steps follow kre.
1.Sabse pahle aap officialy 99rs domain par jayen. Ess se aap godaddy ke 99rs domain wale page pr pahunch jaoge.

GoDaddy Custom Domain Kaise Add Kre Blogger Blog Par Hindi Help

WordPress Par Cloudflare Free SSL/HTTPS Kaise Setup Kare

Domain Authority(DA) Kya Hai Aur SEO Ke Liye DA Improve Kaise Kre

2.Ess page pr .com domain 99rs likha hoga.Iske niche ek search box hoga. Search box me name likhe jo  aap laina chahte ho,or search pr click kre.
3.Ab agr apka domain available h to niche list aa jayegi.List me se jo domain aap lena chahate ho wo choose kre or add to cart kre. Mai apko suggest krunga ki aap .com wala  hi choose kre.
4.Next page pr or bahut si service hogi jo godaddy provide krti hai. Agr apko sirf domain hi laina hai to sbko ‘no thanks’ krte jaye or niche last me ‘Add to Cart Continue’ pr click krde.

5.Next page me process to cart ko conform krde.Aage jo window open hogi usme aap ko year select krna hai. Apko 99 rs me  sirf 1 saal ke liye mil skta hai essliye 1 year pr select kre. Process to cart krne ke baad apko sign up krna hoga.

Sign up Kaise Kre Aur Payment Kaise Kre?

-Biling information me aapko aapki saari jaankari bharni hogi.jisme mobile number, email address or password dalna hoga.Agr apka address support nhi krta ho to aap koi bhi address dal de jisko aap baad me bhi change kr skte ho.Account information me apko username,email or password add krna krna hai. Password me apko ek capital latter jrur dalna hoga. Ek strong password use kre.
Payment option me aap apna payment kaise denge wo bhrna hai.Yahan debit card select krke ,pin number or user name dalna hoga.Phir uske baad debit card pr likhe number daale.Phir apko debit card pr likhi expiry date ko enter krna hota hai.Next box me apko CVV number dalna hoga jo apke atm ya debit card ke pichli side 3 number ka hota hai.Ab aap continue kre.

Next page pr apko otp select krna hoga.Agr apka mobile number bank me ragistered hai to apke mobile pr otp aayega,aap otp enter kre.OTP daalne ke baad hi aap pay kr skte ho.Apke account se 112 rs liye janyege kyoki 99rs ka apka doman ho gya or baki ka tax ho gya.Ab apka domain purchage ho chuka hai.Ab aap isko apne blog pr set kr skte ho.Blog pr custom domain kaise set krte iske liye aap visit krte rahe.

Kuch baate Jo Apko Jrur Yaad Rakhni Chahiye

Please note kre ki aap 99rs GoDaddy domain sirf ek baar hi le skte ho.Agr apko kisi karn se dusra domain lena ho to apko new email id se godaddy pr sign up krna hoga.Apna domain name laite time spelling ka dhyaan jrur rakhe kyoki ek baar domain laine ke baad aap isko change nhi kr skte.Agr jaldbaazi me apki spelling mistake ho gyi ho to apko new domain hi laina hoga.Essliye spelling mistake bhulkar bhi na kre.
Aapse ek vinti hai ki please niche share pr click krke meri ess post ko share jrure kre.thanks

7 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *