Youtube New Policy Rules 2017-Channel Par 10k Views Tak Ads Show Nhi Honge.

Aaj ke time youtube income krne ka ek bahut bda source bnta ja raha hai. Daily youtube par lakho video upload kiye jaate hai.Youtube ne 2007 me Youtube Partner Program (YPP ) shuru kiya tha. Tab se lekar aaj tak Creaters YPP se ek bahut acchhi income kar rahe the. But Youtube New Policy Rules 2017 ke anusaar Apne Youtube Partner Program me kuch change kiye hai.youtube new policy rules 2017 me youtube ne bahut se changes kiye hai

Youtube New Policy Rules 2017 Rules Me Changes Kyo Krna Pda

Bahut se logo ne youtube ko hi apni living bna rakha hai. Unki earnings sirf aur sirf youtube se hi hoti hai. But jab se youtube ne video monetize shuru kiya tab se khud youtube ko bhi bahut si problems ka samna krna pda hai. Bahut si advertiser companies youtube se apna rista tod chuki hai.Advertisers kahte hai ki spaming ke dwara unke sath dhokha ho raha hai.

Iske bahut se karn hai:-
Abuse content ka publish hona.
Original content ka re-upload hona. Bahut se youtuber kisi dusre ke original content ko revenue earn krne ke liye upload krte rahte hai.

Hosting Site Hostgator Affiliate Ko Join Krke Paisa Kaise Kmaaye

Blogger Blog Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise lgaaye

Youtube Subscribe Button Blog Ya website Par Kaise add Kre

Youtube New Policy rules 2017 Me Kya New hai

New policy ke anusaar 10 k views sabse main hai. Ab new youtuber apne channel ko tab tak monetize nhi kar skte jab tak unke channel par 10000 life time views nhi ho jaate. Youtube ne aesa essliye kiya hai taki isme kuch time lge. Ess time me youtube ko channel ki validity ka pta chal jata hai. Youtube ye conform krega ki apka channel Youtube community guideines aur advertiser policies ko follow kar raha hai ya nhi.

Ye Bhi Jrur Padhe:-

Youtube New Monetize Update 2018:Video Monetize Rules Change Kiye

Youtube SEO: Video SEO Krke Search Me Top Rank Par Kaise Aayen

Best Free Video Editing Apps Android Aur Youtuber Ke Liye Hindi Me

YouTube Go Kya Hai Aur Indian User Ko Iske Kya Fayde Hai

Youtube manta hai ki ess se hmare creater par thoda asar jrur pdega. Aaj tak jin logo ne bhi 10k views ke under earnings ki hai unki earnings ko prbhavit nhi kiya jayega. youtube ki official site par aap ye dekh skte ho.youtube official blog

Youtube new rules kab strat Honge

April se Youtube ne clear kar diya hai ki wo unn YPP videos par ads serve nhi krega jinka lifetime page views 10k se kam hai. Youtube ne kaha hai ki aane wale kuch weeks me wo ek new reviews process ko add krega.Ye review unn creaters ke kiye hoga jo Youtube Partner Program ke liye apply krenge.

Jab koi creater 10k lifetime views prapt kr laiga to youtube uske channel ka review krega. Agar sab kuch sahi huwa to youtube usko apne YPP me add kar lega aur videos par ads serve krne lgega.Aapko apni application ki status check krne ke liye channel tab ke Creater Studio me jana hoga. Uske baad aap Monetization me apni application ka status dekh skte ho.

Jahan tak meri soch hai youtube ka ye ek sahi feshla hai. Jbki mere khud ke channel par bhi ye rule lagu hai. Youtube ne mere channel par ads stop kar di hai. Aap sb mere youtube channel ko subscribe kre apko sub back diya jayega.

Apko Youtube New Rules policy 2017 kaisi lgi, apne comment me jrur btaye. Kis kis ke channel par iska asar pda hai jrur btaye.

46 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *