Mene Apna Blog Kaise Start Kiya-Start A Blog

Dosto aaj mai apko btane wala hu ki  mene blogging kyo start ki.Har insaan ke apne apne vichar hote hai. Kisi ek topic pr alg alg logo ki alg alg soch hoti hai. Har aadmi yahi chahta ki dunia uske hisab se chle , pr aesa na kabhi huwa hai na kabhi hoga. Apke vichar chahe kitne bhi achhe ho agr koi sunega nhi to kya fayda.

Maine blog kyo bnaya

Apne vicharo ko logo tak le jaane ke liye ek platform ki jrurat hoti h. Blog ek aesa hi platform h jahan hum apne vichar dil kholkr likh skte hai. Aap chahe kuch bhi kaam krte ho aap apna blog bnakar apne vicharo ko likh skte ho. Apna blog bnana koi muskil kaam nhi h. Isme apko koi degree ya diploma ki jrurat nhi hai. Blogging me aane ka mera yahi makshad tha jo ab thoda change ho gya h.

Blog Kaise Start Kiya

Mene oct.2016 me ek blog start kiya jo hindi me tha. Hindi typing krne me mujhe problem ho rahi thi essliye mene uss pr likhna band kr diya. Uske baad Nov.2016 me mene ek nya blog  Hindi Strock ke naam se shuru kiya jis par aap meri ye post padh rahe ho. Jab mene ess pr likhna start kiya to 4-5 post likh di. Par mai esko sahi se setting nhi kr pa raha tha. Mai ek baat apko clear btata hun ki mai ye sub apne mobile se krta hu. Mere pass laptop ya computer nhi hai.

Mujhe Blog coding Ka dhyan Nahi Tha

Mujhe coding ya website ko design krne ki koi jaankari nhi h essliye mujhe thodi presaani si hone lgi. Jab mene setting ke liye kisi se baat ki to usne blog ko design krne ke liye paise lene ki baat kahi. Mujhe ye acha nhi lga or mene iski settings khud hi krli jabki mai kuch nhi janta tha. Settings krne ke naam pr isme jyada kuch nhi hota jo mujhe  baad me pta chla. To dosto aese mene blogging start kri.
Blog start krne ke baad mujhe pta chla ki ess se paisa bhi kmaya ja skta h. Fir mene apna makshad hi change kr diya. Ab mai chahta hu ki jyada se jyada log apna website bnakr paisa kmaye. Website se paisa kaise kmaate hai eski jaankari apko next post me btaunga. Next post ki jaankari ke liye aap mere facebook page ko like kre. Aaj ke time ko dekhte huye blogging bahut jruri hai.
Agr abhi tak apne apna blog nhi bnaya hai to aap hmari ess post Free Website bnaye ko padh kr bna le. Agr apka koi swaal ho ya agr apko kuch lga ho to please aap niche comment jrur kre.

One Comment

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *