Black Hat Seo Aapke Blog Ko Kaise Barbaad Kar Skta Hai

Black Hat Seo apke blog ke liye bahut hi harmfull sabit hote hai. Jesa ki aap jante ho Seo ke 2 part hote hai- White Hat Aur Black hat seo.Meri pichhli post me maine apko White Hat Seo ke baare me btaya tha. Aaj baat krte hai Black Hat Seo ke baare me.Black Hat Seo Kya Hota Hai Aur Blog ki Barbaadi me Kya Role Hota Hai

Black Hat Seo Kya Hota Hai?

Apne blog ki search rank ki performance bdhane ke liye use kiye gye galat raste ko Black Hat Seo hota hai. Agr aap paise dekar backlink khridte hai to ye ek galat trika hai. Shuru shuru me to iska achha benefit milta hai. Apke blog par achha traffic bhi milne lgata hai.

Baad me dhire-dhire Google apke blog ko paralise krna shuru kr deta hai. Mostly new blogger jyada paisa kmaane ke chakkr apna kimti time aur blog 2no barbaad kr daite hai. Google apne-aap me ek bahut hi bdi chiz hai. Aap Google se kuch nhi chhupa skte hai.

Google natural backlinks aur SEO ke rules ko follow krke aane waali organic traffic ko hi jyada like krti hai. Aaj ki post aap puri read kre aur sochiye kahin aap to galat raste par to nhi jaa rahe.

Black Hat Seo me kya-kya aata hai:-

1. Sabse pahle number aata hai paid backlinks ka. Paid backlinks wo hote hai jo hum kisi site se paisa dekar purchase krte hai. Paid backlinks apke blog ko sirf barbaad hi kr skte hai.

2. Agr ek post par hum jrurat se jyada images use krte hai. Ye trika SEO ke lihaz se sahi nhi hota. Apni post me kabhi bhi faltu ki images use na kre.Jrurat se jyada images use krne se aap khud apni post ko barbaad kr rahe hai.

3. Blog post me agr aap focus keyword ko jrurat se jyada use krte ho to google apki post ko spam maan laita hai. Agr aapka blog wordpress par hai to koi seo plugin jrur use kre.

4. Search engine par achhi ranking bnaane ke liye ek hi post ko 2 baar publish krna.Apna koi dusra blog bnaakar ussi post ko phir se publish krna bhi Black Hat Seo me hi aate hai.Jab search engine me apki ek hi topic par 2 post crawl hoti hai to search engine usko banned kr daita hai.

Top Free 5 Keyword Research Tool Jrur Use Kre

Quality Backlinks Kaise Bnaaye

Some Extra Points Of Black Hat Seo

Apni post me kam se kam 300 words hone chahiye.Maximum aap kitne hi words bina limit use kr skte ho. Agar apki post 300 words se kam hai aur bahut jyada keywords use kr rakhe hai to pakka apki post Black Hat Seo me aati hai. Uske baad kuch hi dino me search engine apki post ko search se remove kar daita hai. Spam comment krna bhi apke blog ke liye sahi nhi hai. Apne blog se related niche blogs par hi comment kre.

Black Hat Seo kya hota hai ye aap achhi tarah se smjh gye honge. Agar phir bhi apka koi swaal ho to aap comment me puch skte ho. Aap sabhi meri ess post ko facebook, whats app etc. par share jrur kre.

2 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *